Thursday 27 February 2014

Dheeray Se Sarakti Hai Raat

Dheeray Se Sarakti Hai Raat 
Us Ke Aanchal Ki Tarah,

Us Ka Chehra Nazar Aata Hai 
Jheel Main Kanwal Ki Tarah,

Baad Muddat Usko Daikha To 
Jism-o-Jaan Ko Yun Laga,

Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi 
Baras Gaya Baadal Ki Tarah,

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar 
Rakh K Raat Bhar Jaga’oon Ga,

Sar-e-Sham Hi Mujhe Aaj Phir 
Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hi Dil Ka Makeen 
Nikla Wo Shakhs “Wasi”

Aur Mein Shehar Bhar Mein Dhoondta Raha 
Usay Kisi Pagal Ki Tarah ...

No comments:

Post a Comment