Thursday 27 February 2014

Tum Mera Dard Bhi, Gham Bhi, Alaam Bhi Tum

Tum Mera Dard Bhi, Gham Bhi, Alaam Bhi Tum,
Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum,

Kamyaabi ko nahi hum ne tumhen chaha hai,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,

Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,

Kya zaroorat hai mujhe dard ke May-khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,

Mukhtalif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,

Ye siasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan Siyaad bhi tum ho, to teh-daam bhi tum,

Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,

Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri fursat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum ..

No comments:

Post a Comment