Mujhe masihai ka hunar nahi aata,
mere haath mai moaj'zey nahi chupe,
mujhe nahi pata ke patharon mai Rooh kese phoonki jaati hai?
laikn agar lamhe bhar ke liye,
sirf aik lamhe ke liye Qudrat ye moaj'za karde,
to mai tumhari pathar ki moorat mai rooh phoonkon,
phir issi moaj'ze ke sath aik dhadakta hua dil tumhare khaali seene mai rakhun,
aur phir is mai khoon ki jagah dard bhar dun,
phir tumhe ehsas ho ke tadapte dil ki tadap kya hoti hai,
roti aankh ka aansu kitna shafaaf hota hai,
phir tumhe pata chale ke jab hum anaa ke pur'zor dhachkay se toot'te hain to kitni kirchiyan bikharti hain,
rag-o-pay mai kitne tukde, kitni kirchiyan,
kitne shafaaf aaiyne khoon rokte hain...
phir tumhe pata chale ke jo aankhen darwaazon pe lagi hon wo palken kyun nahi jhapaktin,
wo aankhen raahen dekhte dekhte pathar kyun ho jati hain?
phir shayad tumhe bataon, ke DARD dil aur jism mai hi nahi, ROOH mai bhi hua karta hai,
aur ye dard bohut shadeed hota hai....
laikn mai kya karun, mai kya karun ke mai Isa-Ibne-Maryum nahi,
ye tere naseeb mai pathar hai, sirf pathar,
aik pathar jesa dil.

No comments:
Post a Comment