Daman-E-Gul Mein Hi Gulzaar Bikhar Jaatay Hain
Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaatay Hain
Shama'h Jalti Hai Sada Aik Hi Lamhay Mein Lekin
Jal Ke Parwane Kayi Baar Bikhar Jaatay Hain
Jin Ko Insaa'n Pirota Hai Bohat Ulfat Se
Haaye Wo Gul Sar-E-Bazaar Bikhar Jaatay Hain
Paaoun Uthaty Hain Tere Koochay Ki Janib Jab Bhi
Apni Raho'n Mein Kayi Khaar Bikhar Jaatay Hain
Raat Ke Pichlay Pehar Khoon-E-Tamanna Ki Tarhan
Hum Teri Yaad Mein Aey Yaar Bikhar Jaatay Hain
Ho Ga AndaAz-E- Wafa Un Ka Alag Hi ''ALFAAZ"
Jin Ki Rahon Mein Talab-Gaar Bikhar Jaatay Hain ...
Jin Ki Rahon Mein Talab-Gaar Bikhar Jaatay Hain ...
No comments:
Post a Comment