Wednesday 26 February 2014

Tum to bicher gaye magar sapnay wohi rahay,

Tum to bicher gaye magar sapnay wohi rahay,
Maosam badal gaye magar manzar wohi rahay,

Hoti rahin sergoshian tanhaioun k saath,
Lehrain badal gaien magar sahil wohi rahay,

Kuch aisay taqdeer ne faisley kiye,
Duaien badal gaien magar daman wohi rahay,

Hum chah k b umar bhar nashad hi rahay,
Umr beat gai magar jazbay wohi rahay,

Kia hua jo rishtoon ki pehchan badal gäyi,
Hum b wohi rahay aur tum b wohi rahay.

No comments:

Post a Comment