Abhi kuch bhi nahin
badla,
Darakhton par wohi
mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi
shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton
per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai,
Abhi tak meri ankhon
mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon
per tumhari ungliyon
ki narm pooron se
likhey sab harf
zinda hain,
Abhi tak mere seeney
mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par
doodhiya pairon se parney waley
sarey naqsh qayem
hain,
Abhi almaariyon mein
sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi
raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey
hain,
Bohat se saal guzrey
hain,
Bohat se waqt beeta
hai,
Meri chahat nahin
beeti,
Meri himmat nahin
guzri,
Abhi kuch bhi nahin
badla,
Abhi kuch bhi nahin
badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…
No comments:
Post a Comment