Ae mere chand ki
aghosh se obhare hoe chand
Tere ane se meri
shokh ki sab moskanen
Us k morjhae hoe
chehre pe loat ai hain
To ne hi us k
solagate hoe sub zakhmon par
Apna nazak sa mehkata
hoa marham rakha
Goya sehraon me
barsat ka mosam rakha
Waqat ki andhi ne ikk
phol mere angan ka
Gulshan ghair k
zindan me la phenka tha
Me k jogno tha chine
mujh se hawale mere
Kho gae jane kahan
sare ojhale mere
Wo k titali thi sabhi
rangon se mehrom hoi
Hijar k dard me din
rat wo Maghmom hoi
Bikhari bikhari si wo
rehti thi meri sochon me
Tere ane se meri
shokh ne khoshiyan paen
To jo hansata hai
tujhe daikh k jii othati hai
To jo rota hai to
gabra k bikhar jati hai
Mujh se wabasta jo
karti thi maqadar apna
Abb samajhati hai
faqat tujh ko sikandar apna
Abb teri zaat se
mansoob hain sansain us ki
Aur khilati hain tere
qurab me ba nahin us ki
Ae mere chand ki
aghosh me khilate hoe chand
To ne mujh par ajab
ehsas kia hai piayare
Abb tere qurab me wo
mujh ko bhala to de gi
Hijar k jalate hoe
deep bajha to de gi
No comments:
Post a Comment