Saturday, 7 June 2014

Dayar-e-gair me kaise tujhe sada daite

Dayar-e-gair me kaise tujhe sada daite
Tu mil bhi jata to akhir tujhe ganwa daite

Tumhin ne ham ko sunaiya na apna dukh warna
Dua wo karte k ham asman hila daite

Hamein ye zoom raha ab k wo pukaren ge
Unhen ye zid thi k har bar ham sada daite

Wo tera hgam tha k taseer mere lahje ki
K jis ko hal sunate use rula daite

Tumhen bholna hi awwal to dastaras me nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kia bhula daite?

Hum apne bachon se kaise kahen k ye ghoriya
Hamare bus me joo hoti to hum dila daite

Tumhari yad ne koi jawab hi na dia
Mere khayal k aansu rahe sada daite

Samaton ko me ta-umer kosata Syed
Wo kuch na kahte magar honth to hila daite

No comments:

Post a Comment