Kesa khaufnaak sa
manzar hai keyi sadiyon se,
Mera qadmon pe mera
sar hai keyi sadiyon se,
Khauf rehta hai na
sailaab kahin le jaye,
Meri palkon pe mera
tera ghar hai keyi sadiyon se,
Ashk aankhon mein
sulagtey huye so jatey hain,
Yeh meri aankh jo
banjar hai keyi sadiyon se,
Kaun kehta hai
mulaqat meri aaj ki hai,
Tu meri rooh ke andar
hai keyi sadiyon se,
Mene jis ke liye har
kisi ko naraaz kiya,
Rooth jaye na yehi
dar hai keyi sadiyon se,
Uss ko aadat hai
jarr’en* kaat’tey rehne ki Wasi,
Jo meri zaat ka
mehwar* hai keyi sadiyon se..
No comments:
Post a Comment