Kissi Ki Ankh Se
Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Ke
Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Aadha Sapna Ho
Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawab Ankhon
Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
unse Kehna Ke Palkon
Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare
Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas
Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko
Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron
Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein
Neendein Ganwaa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega
Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi”jaan”
Wasi Be-Faiz Logon Se
Nibha Ker Kuch Nahi Milta?.
No comments:
Post a Comment