Maan lai ab bhi meri
jaan-e-adaa, dard na chun,
Kaam aati nahin phir
koi duaa, dard na chun,
Aur kuch dair mein
mujh ko chale jana hoga,
aur kuch dair mujhe
khawab dikha, dard na chun,
Aik bhi dard na kam
hoga keyi sadiyon mein,
Ab bhi kehta hoon
tujhe waqt bachaa, dard na chun,
Woh jo likha hai kisi
taur nahin ttal sakta,
Aa mere dil main koi
deep jala, dard na chun,
Main tere lamss se
mehroom na rah jaaon kahin,
Aakhri baar mujhe
khud se laga, dard na chun,
Ab to yeh raishmi purain
bhi chaddi jati hain,
Khud ko ab bakhssh
bhi de, zulm na dhaa, dard na chun,
Yeh nahin hon ge to
khali nahin ho jaon ga mein,
Mere zakhmon se koi
geet bana, dard na chun,
Kuch na de ga yeh
masaayel se ulajhtey rehna,
Chorr sab kuch meri
banhon mein samaa, dard na chun..
No comments:
Post a Comment