Main Shayer Hoon
Toa Aksar Laog Mujh
Se Poochtay Hain
Is Haseen Israar Kay
Baray main
Batain Toa Bhala Kiya
Hai…?
Muhabbat Akhirish Hai
Kiyaa…..?”
Wasi Main Hans Kay
Kehta Hoon
Kisi Piyasay Ko Apnay
Hissay Ka Pani Pilana Bhi..
Muhabbat Hai!
Bahnwar Mai Doobtay
Ko Sahil Tak Lai Kay Jana Bhi..
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Wastay Nanhi
Si Qurbani..
Muhabbat Hai!
Kaheen Hum Raaz Saray
Khoal Saktay Hoan Magar Phir Bhi,
Kisi Ki Babasi Ko
Daikh Ker Khamosh Hojana Bhi…
Muhabbat Hai!
Ho Dil Mai Dard, Veraani
Magar Phir Bhi
Kisi Kay Wastay
Jabran Hi Hoantaon Pe Hansi Lanaa
Zabardasti Hi
Muskana…
Muhabbat Hai!
Kaheen Barish Mai
Sehmay, Bheegtay Billi Kay Bachay Ko
Zara Si Dair Ko Ghar
Lai Kay Anaa Bhi
Muhabbat Hai!
Koi Chirya Jo Kamray
Mai Bhatakti Aan Nikli Ho
Toa Us Chirya Ko
Pankhaa Band Kar Kay
Rastaa Bahir Ka Dikhlana
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Zakham
Sehlanaa
Kisi Rotayhuay Dil Ko
Behlana..
Muhabbat Hai!
Kay Metha Boal, Methi
Baat, Methay Lafz, Sab Kiya Hhai?
Muhabbat Hai!
Muhabbat Aik Hi Bas
Aik Hi Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Uski
Bataon, Khushboan Mai,
Dolna Kab Hai
Muhabbat Sirf Uski
Zulf Kay Bal Kholnaa
Kab hai..
Muhabbat Kay Hazaroan
Rang
Laakhoan Istaa’ray
Hain
Kisi Bhi Rang Mai Ho
Ye
Mujhay Apna Banati
Hai
Ye Meray Dil Ko
Bhaati Hai!
No comments:
Post a Comment