Mujhe us se mohabbat
hai,
Magar kese kahoon us
se,
Woh meri baat ko
sanjeedgi se
kam hi leti hai,
Har ik pal muskurana
Khilkhilaana,
Doston per fikray
qassna,
Nit’naye masoom
mansoobay banana,
Shokh chanchal har
gharri taaza shararat
main bohat masroof
rehti hai,
Magar ik aur hadsha
bhi hai mujh ko,
Main izhaar se
Iqraar se
khud rokay rakhta
hai,
Ke mehke khawab
bun’ne, khelne ka waqt hai uska,
Meri chahat
Kahin masoomiyat na
cheen le uski,
Sadaa se hum ne dekha
hai,
Mohabbat aadmi ko
is’qadar sanjeeda karti hai,
Ke phir mehfil,
tamashey, khel us ko bojh lagte hain,
Main darta hoon
Kahin yeh bhol’pan us
ka,
Yeh har pal
cheh’chihaana muskurana sab,
Meri izhaar se
sanjeedgi mein na badal jaye,
Kahin us shokhh ko
bhi rog koi,
Chup chaap na lag
jaye,
Mujhe us se mohabbat
hai,
Magar kese kahoon us
se….
No comments:
Post a Comment