Pa barhna aur mere
Charon taraf tanhaiyan
Chon raha hon teri
yadon ki solagati kirchiyan
Kia kahen
tarak-e-etaluq ka irada to nahin
Yaad jo karne lage ho
tum purani talkhiyan
Aah! Wo mosam wo
heele aur kinara nehar ka
Yaad ati hain mujhe
campus ki sari shokhiyan
Kia kisi wehshat zada
mosam ka tum ko khof hai
Kiss lie khamosh ho
kholo na dil ki khirkiyan
Me use shohrat k
baam-o-dar pe pohchane k bad
Apne daman me chopa
le jaon ga ruswaiyan
Apni barbadii ka me
ja kar kise ilzam don
Apne hathon se dabaen
mene apni kashtiyan
Jeet to jata hon phir
bhi dukh sa rehta hai mujhe
Kab talak us se me
khelon ga shikasta baziyan
Boliyan lagati hain
abb bhi khoshiyon k sheher me
Ajj bhi bazar me
bikati hain nazak titliyan
Lijiye iss dil Ka
phir mah-e-Moharam aa gea
Matamon ka shor hai
aur chal rahi hain bar-chaiyan
Yaad hai mujh ko
December me judai ki wo raat
Chaand ki kirnain
lahoo me ban gaen changariyan
Hijar k sahil pe kiss
k muntazir baithe ho tum
Iss sumandar se bhala
kab lotati hain kashtiyan
Phir kasila zaiqa
mosam ka iss dil ko laga
Phir se ankhon me
otar aen purani talkhiyan
Kon jane kiss se
badala le raha hon me WASI
Aik modat se ragon me
paal kar weraniyan
No comments:
Post a Comment