Saturday, 7 June 2014

Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho,

Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho,
Hath hathon mein tera ho, shaam ho,

Khauf ata hai mujhe us waqt se,
Raasta na mil raha ho, shaam ho,

Kis qadar be’kaif guzre gi woh shaam,
Tu mujhe bhoola hua ho, shaam ho,

Kyon na shiddat se mujhe yaad aye gaao’n,
Sheher ka banjar’pana ho, shaam ho,

Ho rahi ho teri tasveeron se baat,
Tera khat khola hua ho, shaam ho,

Sardiyaan, barish, hawaa, chaaye ka cup,
Woh mujhe yaad aaraha ho, shaam ho,

Dard o gham ki dhund mein liptaa hua,
Qaafila sa chal para ho, shaam ho,

Ya’ilahi aese lamhe se bachaa,
Woh kabhi mujh se khafaa ho, shaam ho,

Ik yehi khawhish na puri ho saki,
Tu kalejey se laga ho, shaam ho..

No comments:

Post a Comment