Qalam ho taigh ho
taisha k dhaal mat cheno
Kabi kisi se kisi ka
kamal mat cheno
Khushi isi me agar
hai to har khushi lay lo
Yeh dukh yeh dard yeh
huzan o malal mat cheno
Isi khalash k sabab
phir muje obharna hai
Khuda k wastay
ahed-e-zawal mat cheno
Me chor sakta nahin
sath istiqamat ka
Meri azan se
josh-e-Bilal mat cheno
Abi kitab na cheno
tum in k hathon se
Hamare bachon ka
hussan-o-jamal mat cheno
Hamari ankh me yaadon
k zakham rehnay do
Hamare hath se pholon
ki dhaal mat cheno
Abi bhojao na Candle
na cake katon abi
Kuch aar dair mera
pichla saal mat cheno
No comments:
Post a Comment