tum meri ankh k tewar
na bhula paoge
ankahi bat ko
samjhoge to yad aunga
ham ne khushyon ki
tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko
paltoge to yad aunga
isi andaz mein hote
the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko
likhoge to yad aunga
sard raton k mahkate
hue sannaton mein
jab kisi phul ko
chumoge to yad aunga
ab tere ashk main
honthon se chura leta hun
hath se khud inhen
ponchoge to yad aunga
shal pahnayega ab
kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi
bhigo ge to yad aunga
aj tum mahfil-e-yaran
pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k
bikhroge to yad aunga
hadse ayenge jiwan
mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge
to yad aunga
is mein shamil hai
meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo
pahnoge to yad aunga
No comments:
Post a Comment