Saturday, 7 June 2014

Us k hathon se joo khoshbo-e-hina atii hai

Us k hathon se joo khoshbo-e-hina atii hai
Aisa lagta hai k jannat se hawaa atii hai

Chomne daar ko kis dhaj se chala hai koi
Aj kis naaz se maqtal mee qaza aati hai

Na kabhi koi kare tujh se tere jaise salook
Hath uthtay hi yehi lab pe dua aati hai

Tere gham ko ye bar-hana nahin rehne deti
Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai

Us ke chehray ki tamazat bhi hai shamil is main
Aaj tapti hoi saavan ki ghata aati hai

Ghomnay jab bhi tere shehar me jati hai wafa
Bain karti hui wapis woh sada aati hai

Hai wohi bat har ik lab pe bohat aam yahan
Hum se jo kehte hue un ko haya ati ha

No comments:

Post a Comment