Zar ki namoos ki
rasmon se baghaawat kar ke,
Kuch nahin paaye ga
woh mujh se mohabbat kar ke,
Baiy’n karti huyi
aankhain, yeh pareshan zulfain,
Aur kya chahte ho us
se mohabbat kar ke,
Phool to phool hain
zakhmon ke bhi nakhre hain yahan,
Hum ne dekha hai
bohat in ki ibadat kar ke,
Yeh kisi jabr pe
honton ko siyaa karte hain,
Zulam karte hain woh
zaalim ki himayat kar ke,
Dil ke sehraao’n ki
veeraaniya’n jati hi nahin,
Teri yaadon ne bhi
dekha yahan hijrat kar ke,
Woh mere hijr ko bhi
khail samajhta hai Wasi,
Laut jaye ga kisi roz
sharaarat kar ke..
No comments:
Post a Comment