Sunday, 27 July 2014

Tu Ae Aseer-e-Makaan'! La-Makaa'n Se Door Nahin

Tu Ae Aseer-e-Makaan'! La-Makaa'n Se Door Nahin
Woh Jalwagah Tere Khakdaa'n Se Duur Nahin

Woh Marghzar Ke Beem-e-Khazan Nahin Jis Mein
Ghameen Na Ho Ke Tere Ashiyan Se Door Nahin

Ye Hai Khulasa-e-Ilm Qalandari Ke Hiyat
Khadang-E-Jasta Hai Lekin Kama'n Se Door Nahin

Faza Teri Mah-o-Parveen Se Hai Zara Agay
Qadam Uthao, Ye Maqam Asmaa'n Se Door Nahin

Kahe Na Rahnuma Se Ke Chor De Mujh Ko
Ye Baat Rahroo Nukta Da'n Se Door Nahin

No comments:

Post a Comment