Wo kehti hai suno
jaana,
Mohabbat moum ka ghar
hai,
Tapish-e-bud-gumani
ki,
Kahin pighla na de is
ko?
Main kehta hoon,
Jis dil main zara bhi
bad-gumani ho,
Wahan kuch aur ho to
ho,
Mohabbat ho nahi
sakti,
Wo kehti hai sada
aise he,
Kia tum mujh ko chaho
ge?
K main is main kami
koi bhi,
Gawara ker nahi
sakti,
Main kehta hoon,
Mohabbat kia hai ye
tum ne sikhaya hai,
Mujhe tum se mohabbat
k siwa,
Kuch b nahi aata,
Wo kehti hai,
Judai se bohat darta
hai mera dil,
K khud ko tum se hat
ker dekhna,
Mumkin nahi hai ab,
Main kehta hoon,
Yahi khadshe bohat
mujh ko satate hain,
Magar sach hai
mohabbat main,
Judai saath chalti
hai,
Wo kehti hai,
Batao kia mere bin
jee sako ge tum?
Meri baaten, meri
yaaden, meri aankhen,
Bhula do ge?
Main kehta hoon,
Kabhi aisi baat per
socha nahi main ne,
Ager ek pal ko bhi
sochon to,
Saansen rukne lagti
hain,
Wo kehti hai tumhen
mujh se,
Mohabbat is qader
kyon hai?
K main ek aam si
larrki,
Tumhen kyon khaas
lagti hon?
Main kehta hoon,
Kabhi khud ko meri
aankhon se tum dekho,
Meri dewaangi kyon
hai,
Ye khud he jaan jao
gi,
Wo kehti hai,
Mujhe waraftgi se
dekhte kyon ho?
K main khud ko bohat,
Qeemti mahsoos kerti
hoon,
Main kehta hon,
Mata-e-jaan bohat
anmol hoti hai,
Tumhen jub dekhta hoon
zindgi,
Mahsoos kerta hoon,
Wo kehti hai,
Mujhe alfaz k jugno
nahi milte,
K tumhen bata sakon,
K dil main mere kitni
mohabbat hai,
Main kehta hoon,
Mohabbat to nigahon
se jhalakti hai,
Tumhari khamoshi mujh
se,
Tumhari baat kerti
hai,
Wo kehti hai,
Batao na kiss ko
khone se darta ho?
Batao kon hai wo
jise,
Ye mousam bulate
hain?
Main kehta hoon,
Yeh meri shayeri hai
aaina dil ka,
Zara dekho batao kia,
Tumhen is main nazar
aaya?
Wo kehti hai,
Atif jee bohat baaten
banate ho,
Magar sach hai ye
baaten,
Bohat he shaad rakhti
hain,
Main kehta hoon,
Yeh sub baaten ye
fasane ek bhana hain,
K pal kuch zindagani
k,
Tumhare saath kat
jayen,
Phir us k baad
khamoshi ka,
Dilkash raqs hota
hai,
Nigahen bolti hain
aur,
Lub khamosh rehte
hain…!!!
No comments:
Post a Comment