Agar tum ko muhabbat thi
To tum ney raast’on sey ja ker pocha
kiun nahi manzil key barey mein
Hawa’on pey koi pegham tum ney likh diya hota
Darkht’on per likha wo nam tum ney kiun nahi dhonda..?
Wo thando oss mein bhega, mehakta sa gulab aur mein
Meray dhani sey anchal ko tumhara barh key chu lena
Churana rang titli key, kabhi jugnoo ko pa lena
Kabhi kaghaz ki kashti per bnana
dil ki sorat aur is per khob likh jana
Kisi bhanwrey ki sokhi aur kali’yon ka wo urna
Tumh’ein bhi yaad to ho ga?
Agar tum ko muhabbat thi ye sari
baat’ein bhool saktey thay?
Nahi jana’n!
Muhabbat tum ney dekhi hai
muhabbat tum ney pai hai
Muhabbat ki nahi tum ney……

No comments:
Post a Comment