Jal Raha Hun Kal
Nahin Parti Kisi Pehlu Mujhe
Haan Dabo De Ae
Muheet-e-Aab-e-Ganga Tu Mujhe
Sarzameen Apni
Qayamat Ki Nafaq-Angaiz Hai
Wasl Kaisa, Yaan To
Ek Qurb-e-Firaq Angaiz Hai
Badle Yak Rangi Ke
Ye Nashnayi Hai Ghazab
Aik Hi Khirman Ke
Danon Mein Judai Hai Ghazab
Jis Ke Phoolon Mein
Akhuwat Ki Hawa Ayi Nahin
Uss Cchaman Mein Koi
Lutf-e-Naghma Pairayi Nahin
Lazzat-e-Qurb-e-Haqiqi
Par Mita Jata Hun Main
Ikhtilat-e-Mouja-o-Sahil
Se Ghabrata Hun Main
Dana-e-Khirman Numa Hai
Shayar-e-Maujiz Byan
Ho Na Khirman Hi To
Iss Dane Ki Hasti Phir Kahan
Husn Ho Kya Khudnuma
Jab Koi Maeel Hi Na Ho
Shama Ko Jalne Se Kya
Matlab Jo Mehfil Hi Na Ho
Zauq-e-Goyai Khamoshi
Se Badalta Kyun Nahin
Mere Aaeene Se Ye
Johar Nikalta Kyun Nahin
Kaab Zuban Kholi
Humari Lazzat-e-Guftar Ne!
Phoonk Dala Jab
Chaman Ko Aatish-e-Paikar Ne
No comments:
Post a Comment