Sama Sakta Nahin
Pehna’ay Fitrat Mein Mera Soda
Galat Tha Ae Junoon
Shaid Tera Andaza’ay Sehra
Khudi Se Iss
Tilism-E-Rang-O-Boo Ko Torh Sakte Hain
Yehi Touheed Thi Jis
Ko Na Tu Samjha Na Mein Samjha
Nigah Payda Kar Ae
Ghafil Tajali Aen-E-Fitrat Hai
Ke Apni Mouj Se
Begana Reh Sakta Nahin Darya
Raqabat Ilm-O-Irfan
Mein Galat Beeni Hai Manbar Ki
Ke Woh Hallaj Ki
Sooli Ko Samjha Hai Raqeeb Apna
Khuda Ke Pak Bandon
Ko Hukoomat Mein, Ghulami Mein
Zirah Koi Agar
Mehfooz Rakhti Hai To Istagna
Na Kar Taqleed Ae
Jibraeel Mere Jazb-O-Masti Ki
Tan Asan Arshiyon Ko
Zikr-O-Tasbeeh-O-Taawaf Aola !
No comments:
Post a Comment