Friday, 8 August 2014

Sargazash-e Adam

Sune Koi Meri Ghurbat Ki Dastan Mujh Se
Bhulaya Qissa-e-Peman-e-Awaleen Main Ne

Lagi Na Meri Tabiat Riyaz-e-Jannat Mein
Piya Shaur Ka Jab Jaam-e-Aatisheen Main Ne

Rahi Haqiqat-e-Alam Ki Justujoo Mujh Ko
Dikhaya Auj-e-Khiyal-e-Falak Nasheeen Main Ne

Mila Mazaj Tagiyur Pasand Kuch Aesa
Kiya Qarar Na Zair-e-Falak Kahin Main Ne

Nikala Kaabe Se Pathar Ki Mooraton Ko Kabhi
Kabhi Buton Ko Banaya Haram Nasheen Main Ne

Kabhi Main Zauq-e-Takalum Mein Toor Par Pohancha
Chupaya Noor-e-Azal Zair-e-Asteen Main Ne

Kabhi Saleeb Pe Apnon Ne Mujh Ko Latkaya
Kiya Falak Ko Safar, Chor Kar Zameen Main Ne

Kabhi Mein Ghaar-e-Hira Mein Chupa Raha Barson
Diya Jahan Ko Kabhi Jaam-e-Akhreen Main Ne

Sunaya Hind Mein Aa Kar Surood-e-Rabbani
Pasand Ki Kabhi Yunan Ki Sar Zameen Main Ne

Diyar-e-Hind Ne Jis Dam Meri Sada Na Suni
Basaya Khitta-e-Japan-o-Mulk-e-Cheen Main Ne

Banaya Zarron Ki Tarkeeb Se Kabhi Alam
Khilaf-e-Ma’ani-e-Taleem-e-Ahl-e-Deen Main Ne

Lahoo Se Laal Kiya Saikron Zameenon Ko
Jahan Mein Chair Ke Pikaar-e-Aqal-o-Deen Main Ne

Samajh Mein Ayi Haqiqat Na Jab Sitaron Ki
Issi Khiyal Mein Raatain Guzar Deen Main Ne

Dra Sakeen Na Kalisa Ki Mujh Ko Talwarain
Sikhaya Masla-e-Gardish-e-Zameen Main Ne

Kasish Ka Raaz Haweda Kiya Zamane Par
Laga Ke Aaeena-e-Aqal-e-Doorbeen Main Ne

Kiya Aseer Shuaon Ko, Barq-e-Muztir Ko
Bana Di Ghairat-e-Jannat Ye Sarzameen Main Ne

Magar Khabar Na Milli Ah! Raaz-e-Hasti Ki
Kiya Khird Se Jahan Ko Teh-e-Nageen Main Ne

Huwi Jo Chashm-e-Muzahir Parast Wa Akhir
To Paya Khana-e-Dil Mein Isse Makeen Main Ne

No comments:

Post a Comment