Friday 8 August 2014

Rukhsat Ae Bazm-e-Jahan

Rukhsat Ae Bazm-e-Jahan! Sooye Watan Jata Hun Main
Ah! Iss Abad Weerane Mein Ghabrata Hun Main

Bas Ke Main Afsurda Dil Hun, Dar Khor-e-Mehfil Mehfil Nahin
Tu Mere Qabil Nahin Hai, Main Tere Qabil Nahin

Qaid Hai Darbar-e-Sultan-o-Shabistan-e-Wazir
Tor Kar Nikle Ga Zanjeer-e-Talai Ka Aseer

Go Bari Lazzat Teri Hangama Arayi Mein Hai
Ajnabiat Si Magar Teri Shanasai Mein Hai

Muddaton Tere Khud Araon Se Hum-Sohbat Raha
Muddaton Betaab Mouj-e-Behr Ki Soorat Raha

Muddaton Baitha Tere Hangama-e-Ishrat Mein Main
Roshani Ki Justujoo Karta Raha Zulmat Mein Main

Muddaton Dhoonda Kiya Nazara-Egul, Khar Mein
Ah, Woh Yousaf Na Hath Aya Tere Bazaar Mein

Chashm-e-Heeran Dhoondti Ab Aur Nazare Ko Hai
Arzu Sahil Ki Mujh Toofan Ke Mare Ko Hai

Chor Kar Manind-e-Bu Tera Chaman Jata Hun Main
Rukhsat Ae Bazm-e-Jahan! Sooye Watan Jata Hun Main

Ghar Banaya Hai Sukoot-e-Daman-e-Kuhsar Mein
Ah! Ye Lazzat Kahan Mausiqi-e-Guftar Mein

Hum-Nasheen-e-Nargis-e-Shehla, Rafeeq-e-Gul Hun Main
Hai Chaman Mera Watan, Humsaya-e-Bulbul Hun Main

Sham Ko Awaz Chashmon Ki Sulati Hai Mujhe
Subah Farsh-e-Sabz Se Ko'el Jagati Hai Mujhe

Bazm-e-Hasti Mein Hai Sub Ko Mehfil Arayi Pasand
Hai Dil-e-Shayar Ko Lekin Kunj Tanhai Pasand

Hai Junoon Mujh Ko Ke Ghabrata Hun Abadi Mein Main
Dhoondta Phirta Hun Kis Ko Koh Ki Wadi Mein Main?

Shauq Kis Ka Sabza Zaron Mein Phirata Hai Mujhe
Aur Chashmon Ke Kinaron Par Sulata Hai Mujhe?

Tanaa Zan Hai Tu Ke Saida Kunj Uzlat Ka Hun Main
Dekh Ae Ghafil! Pyami Bazm-e-Qudrat Ka Hun Main

Hum Watan Shamshad Ka,  Qumri Ka Main Humraaz Hun
Iss Chaman Ki Khamashi Mein Gosh Bar-Awaz Hun

Kuch Jo Sunta Hun To Auron Ko Sunane Ke Liye
Dekhta Hun Kuch To Auron Ko Dikhane Ke Liye

Ashiq-e-Uzlat Hai Dil, Nazan Hun Apne Ghar Pe Main
Khanda-Zan Hun Masnad-e-Dara-o-Iskandar Pe Main

Laitna Zaire-Shajar Rakhta Hai Jadoo Ka Asar
Shaam Ke Tare Pe Jab Parti Ho Reh Reh Kar Nazar

Ilm Ke Hairat-Kade Mein Hai Kahan Iss Ki Namood!
Gul Ki Patti Mein Nazar Ata Hai Raaz-e-Hast-o-Bood

No comments:

Post a Comment