Ek Danish-e-Noorani,
Ek Danish-e-Burhani
Hai Danish-e-Burhani,
Hairat Ki Farawani
Iss Paikar-e-Khaaki
Mein Ek Shay Hai, So Woh Teri
Mere Liye Mushkil Hai
Uss Shay Ki Nighabani
Ab Kya Jo Meri Afghan
Pohenchi Hai Sitaron Tak
Tu Ne Hi Sikhai Thi
Mujh Ko Ye Ghazal Khawani
Ho Naqsh Agar Batil,
Takrar Se Kya Hasil
Kya Tujh Ko Khush Ati
Hai Adam Ki Ye Arzani?
Mujh Ko To Sikha Di
Hai Afrang Ne Zindeeqi
Iss Dour Ke Mullah
Hain Kyun Nang-e-Musalmani !
Taqdeer Shikan Quwwat
Baqi Hai Abhi Iss Mein
Nadan Jise Kehte Hain
Taqdeer Ka Zindani
Tere Bhi Sanam Khane,
Mere Bhi Sanam Khane
Dono Ke Sanam Khaaki,
Dono Ke Sanam Fani
No comments:
Post a Comment