Friday, 8 August 2014

Falsafa-e-Gham

Go Sarapa Kaif-e-Ishrat Hai Sharab-e-Zindagi
Ashak Bhi Rakhta Hai Daman Mein Sihab-e-Zindagi

Mouj-e-Gham Par Raqs Karta Hai Habab-e-Zindagi
Hai ‘Alam’ Ka Surah Bhi Juzw-e-Kitab-e-Zindagi

Aik Bhi Patti Agar Kam Ho To Woh Gul Hi Nahin
Jo Khazan Na-Deedah Ho Bulbul, Woh Bulbul Hi Nahin

Arzoo Ke Khoon Se Rangeen Hai Dil Ki Dastan
Naghma-e-Insaniat Kamil Nahin Ghair Az Faghan

Didah-e-Beena Mein Dagh-e-Gham Charagh-e-Seena Hai
Rooh Ko Saman-e-Zeenat Aah Ka Aeena Hai

Hadsat-e-Gham Se Hai Insan Ki Fitrat Ko Kamal
Ghazah Hai Aaeena-e-Dil Ke Liye Gard-e-Malal

Gham Jawani Ko Jaga Deta Hai Lutf-e-Khawab Se
Saaz Ye Baidar Hota Hai Issi Mazrab Se

Tair-e-Dil Ke Liye Gham Shehpar-e-Parwaz Hai
Raaz Hai Insan Ka Dil, Gham Inkashaf-e-Raaz Hai

Gham Nahin Gham, Rooh Ka Ek Naghma-e-Khamosh Hai
Jo Surood-e-Barbat-e-Hasti Se Hum Aghosh Hai

Shaam Jis Ki Ashnaye Naala-e-‘Ya Rab’ Nahin
Jalwa Pera Jis Ki Shab Mein Ashak Ke Kokab Nahin

Jis Ka Jaam-e-Dil Shikast-e-Gham Se Hai Na-Ashna
Jo Sada Mast-e-Sharab-e-Aysh-o-Ishrat Hi Raha

Hath Jis Gulcheen Ka Hai Mehfooz Nauk-e-Khar Se
Ishq Jis Ka Be Khabar Hai Hijar Ke Azaar Se

Kulfat-e-Gham Gharche Uss Ke Rouz-o-Shab Se Door Hai
Zindagi Ka Raaz Uss Ki Ankh Se Mastoor Hai

Ae Ke Nazm-e-Dehr Ka Idraak Hai Hasil Tujhe
Kyun Na Asan Ho Gham-o-Andoh Ki Manzil Tujhe

Ha Abad Ke Nuskha-e-Dairina Ki Tamheed Ishq
Aqal-e-Insani Hai Fani, Zinda-e-Javaid Ishq

Ishq Ke Khursheed Se Sham-e-Ajal Sharminda Hai
Ishq Souz-e-Zindagi Hai , Ta-Abad Paeenda Hai

Rikhsat-e-Mehboob Ka Maqsad Fana Hota Agar
Josh-e-Ulfat Bhi Dil-e-Ashiq Se Kar Jata Safar

Ishq Kuch Mehboob Ke Merne Se Mar Jata Nahin
Rooh Mein Gham Ban Ke Rehta Hai, Magar Jata Nahin

Hai Baqaye Ishq Se Paida Baqa Mehboob Ki
Zindagaani Hai Adam Na-Ashna Mehboob Ki

Ati Hai Naddi Jabeen-e-Koh Se Gati Huwi
Asman Ke Taeeron Ko Naghma Sikhlati Huwi

Aaeena Roshan Hai Uss Ka Soorat-e-Rukhsar-e-Hoor
Gir Ke Wadi Ki Chatanon Par Ye Ho Jata Hai Choor

Nehr Jo Thi, Uss Ke Gohar Pyare Pyare Ban Gye
Yani Uss Uftad Se Pani Ke Tare Ban Gye

Jooye Seemab Rawan Phat Kar Preshan Ho Gyi
Muztarib Boondon Ki Ek Dunya Namayan Ho Gyi

Hijar, In Qatron Ko Lekin Wasal Ki Taleem Hai
Do Qadam Par Phir Wohi Joo Misl-e-Taar-e-Seem

Aik Asliat Mein Hai Nehr-e-Rawan-e-Zindagi
Gir Ke Riffat Se Hajoom-e-Noo-e-Insan Ban Gayi

Pasti -e-Alam Mein Milne Ko Juda Hote Hain Hum
Aarzi Furqat Ko Dayem Jaan Kar Rote Hain Hum.

Merne Wale Merte Hain Lekin Fana Hote Nahin
Ye Haqiqat Mein Kabhi Hum Se Juda Hote Nahin

Aqal Jis Dam Dehr Ki Aafaat Mein Mehsoor Ho
Ya Jawani Ki Andheri Raat Mein Mastoor Ho

Daman-e-Dil Ban Gya Ho Razmgah-e-Khair-o-Shar
Rah Ki Zulmat Se Ho Mushkil Sooye Manzil Safar

Khizr-e-Himmat Ho Gya Ho Arzoo Se Gosha-Geer
Fikr Jab Aajiz Ho Aur Khamosh Awaz-e-Zameer

Wadi-e-Hasti Mein Koi Hum Safar Tak Bhi Na Ho
Jadoo Dikhlane Ko Jugnoo Ka Sharar Tak Bhi Na Ho

Merne Walon Ki Jabeen Roshan Hai Iss Zulmat Mein
Jis Tarah Chamakte Hain Andheri Raat Mein

No comments:

Post a Comment