Faqr Ke Hain
Muajazaat Taaj-o-Sareer-o-Sipah
Faqr Hai Meeron Ka
Meer, Faqr Hai Shahon Ka Shah
Ilm Ka Maqsood Hai
Paki-e-Aqal-o-Khirad
Faqr Ka Maqsood Hai
Iffat-e-Qalb-o-Nigah
Ilm Faqeer-o-Hakeem,
Faqr Maseeh-o-Kaleem
Ilm Hai Jooya’ay Rah,
Faqr Hai Danye Rah
Faqr Maqam-e-Nazar,
Ilm Maqam-e-Khabar
Faqr Mein Masti
Sawab, Ilm Mein Masti Gunah
Ilm Ka ‘Mojood’ Aur,
Faqar Ka ‘Mojood’ Aur
ASHADU ALLA ILAHA,
ASHADU ALLA ILAHA !
Charhti Hai Jab Faqr
Ki Saan Pe Taeg-e-Khudi
Aik Sipahi Ki Zarb
Karti Hai Kaar-e-Sipah
Dil Agar Iss Khak
Mein Zinda-o-Baidar Ho
Teri Nigah Torh De
Aaeena-e-Mehar-o-Mah
No comments:
Post a Comment