Haspania Tu
Khoon-e-Musalman Ka Ameen Hai
Manind-e-Haram Pak
Hai Tu Meri Nazar Mein
Poshida Teri Khak
Mein Sajdon Ke Nishan Hain
Khamosh Azanain Hain
Teri Baad-e-Sehar Mein
Roshan Thin Sitaron
Ki Tarah In Ki Sananain
Khaime The Kabhi Jin
Ke Tere Koh-o-Qamar Mein
Phir Tere Haseenon Ko
Zaroorat Hai Hina Ki?
Baqi Hai Abhi Rang
Mere Khoon-e-Jigar Mein !
Kyun Khs-o-Khashaak
Se Dab Jaye Musalman
Mana, Woh Tab-e-Taab
Nahin Iss Ke Sharar Mein
Garnata Bhi Dekha
Meri Ankhon Ne Walekin
Taskeen-e-Musafir Na
Safar Mein Na Hazr Mein
Dekha Bhi Dikhaya
Bhi, Sunaya Bhi Suna Bhi
Hai Dil Ki Tasalli Na
Nazar Mein, Na Khabar Mein!
No comments:
Post a Comment