Hazar Khof Ho Lekin
Zuban Ho Dil Ki Rafeeq
Yehi Raha Hai Azal Se
Qalanderon La Tareeq
Hajoom Kyun Hai Zaida
Sharab Khane Mein
Faqat Ye Baat Ke
Peer-e-Mughan Hai Mard-e-Takhleeq
Ilaj-e-Zu'af-e-Yaqeen
In Se Ho Nahin Sakta
Gareeb Agarcha Hain
Razi Ke Nukta Ha'ay Daqeeq
Mureed Sada Tou Ro Ro
Ke Ho Gaya Ta'eb
Khuda Kare Ke Mile
Sheikh Ko Bhi Ye Toufeeq
Ussi Talism-e-Kuhan
Mein Aseer Hai Adam
Baghal Mein Uss Ki
Hain Ab Tak Butan-e-Ehad-e-Ateeq
Mere Liye Tou Hai
Iqrar-e-Bil-Lisan Bhi Bohat
Hazar Shukar Ke
Mullah Hain Sahib-e-Tasdeeq
Agar Ho Ishq Tou Hai Kuffar Bhi Musalmani
Na Ho Tou
Mard-e-Musalman Bhi Kafir-o-Zandeeq
No comments:
Post a Comment