Chamak Utha Jo Sitara
Tere Muqaddar Ka
Habash Se Tujh Ko
Utha Kar Hijaz Laya
Huwi Issi Se Tere
Ghumkade Ki Abadi
Teri Ghulami Ke Sadqe
Hazar Azadi
Woh Astan Na Chuta
Tujh Se Aik Dam Ke Liye
Kisi Ke Shauq Men Tu
Ne Maze Sitam Ke Liye
Jafa Jo Ishq Mein
Hoti Hai Woh Jafa Hi Nahin
Sitam Na Ho To
Mohabbat Mein Kuch Maza Hi Nahin
Nazar Thi
Soorat-e-Salman (R.A.) Ada Shanas Teri
Sharab-e-Deed Se
Bharti Thi Aur Piyas Teri
Tujhe Nazare Ka
Misl-e-Kaleem(A.S.) Souda Tha
Awais (R.A.)
Taqat-e-Deedar Ko Tarasta Tha
Madina Teri Nigahon
Ka Noor Tha Goya
Tere Liye To Ye Sehra
Hi Toor Tha Goya
Teri Nazar Ko Rahi
Deed Mein Bhi Hasrat-e-Deed
Khunak Dile Ke Tapedo
Dame Naya Saeeyd
Gari Woh Barq Teri
Jaan-e-Nashakaiba Par
Ke Khandazan Teri
Zulmat Thi Dast-e-Musa Par
Tapish Za Shaola
Griftand Wa Bar-e-Dil Tozand
Che Barq-e-Jalwa
Bakhashak-e-Hasil-e-Tozand!
Adaye Deed Sarapa
Niaz Thi Teri
Kisi Ko Dekhte Rehna
Namaz Thi Teri
Azan Azal Se Tere
Ishq Ka Tarana Bani
Namaz Uss Ke Nazare
Ka Ek Bahana Bani
Khosha Woh Waqt Ke
Yasrab-e-Maqam Tha Uss Ka
Khosha Woh Dour Ke
Didar Aam Tha Uss Ka
No comments:
Post a Comment