Friday, 8 August 2014

Hindustani Bachon Ka Qaumi Geet

Chishti (R.A.) Ne Jis Zameen Mein Pegham-e-Haq Sunaya
Nanak Ne Jis Chaman Mein Wahdat Ka Geet Gaya

Tatariyon Ne Jis Ko Apna Watan Banaya
Jis Ne Hijaziyon Se Dast-e-Arab Chhuraya

Mera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi Hai
Yunanion Ko Jis Ne Heeran Kar Diya Tha

Sare Jahan Ko Jis Ne Ilm-o-Hunar Diya Tha
Mitti Ko Jis Ki Haq Ne Zr Ka Asar Diya Tha

Turkon Ka Jis Ne Daman Heeron Se Bhar Diya Tha.
Mera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi Hai

Toote The Jo Stare Faras Ke Asman Se
Phir Taab De Ke Jis Ne Chamkaye Kehkashan Se

Wahdat Ki Laiy Suni Thi Dunya Ne Jis Makan Se
Meer-e-Arab (S.A.W.) Ko Aayi Thandi Hawa Jahan Se

Mera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi Hai
Bande Kaleem Jis Ke, Parbat Jahan Ke Seena

Nooh (A.S.)-e-Nabi Ka Aa Kar Thehra Jahan Safeena
Riffat Hai Jis Zameen Ki Baam-e-Falak Ka Zeena

Jannat Ki Zindagi Hai Jis Ki Faza Mein Jeena
Mera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi Hai

No comments:

Post a Comment