Khudi Woh Behar Hai
Jis Ka Koi Kinara Nahin
Tu Aabjoo Usse Samjha
Agar To Chara Nahin
Tilism-e-Gunbad-e-Gardoon
Ko Torh Sakte Hain
Zujaj Ki Ye Amarat
Hai, Sang-e-Khara Nahin
Khudi Mein Doobte
Hain Phir Ubhar Bhi Ate Hain
Magar Ye
Hosla-e-Mard-e-Haichkarah Nahin
Tere Maqam Ko Anjum
Shanas Kya Jane
Ke Khak-e-Zinda Hai
Tu, Taba-e-Sitara Nahin
Yahin Behisht Hi Hai,
Hoor-o-Jibreel Bhi Hai
Teri Nigah Mein Abhi
Shaukhi-e-Nazara Nahin
Mere Junoon Ne Zamane
Ko Khoob Pehchana
Woh Pairhan Mujhe
Bakhsha Ke Para Para Nahin
Ghazab Hai,
Ayin-e-Karam Mein Bukheel Hai Fitrat
Ke Laal-e-Naab Mein
Atish To Hai, Sharara Nahin
No comments:
Post a Comment