Friday 8 August 2014

Khuftagan-e-khaak Se Istafsar

Mehr-e-Roshan Chup Gya, Uthi Niqab-e-Ruye Sham
Shan-e-Hasti Pe Hai Bikhra Huwa Gaisuay Sham

Ye Seyh Poshi  Ki Tayari Kisi Ke Gham Mein Hai
Mehfil-e-Qudrat Magar Khurshid Ke Matam Mein Hai

Ker Raha Hai Aasman Jadoo Lab-e-Guftar Per
Sahar-e-Shab Ki Nazar Hai Didah-e-Beedar Per

Ghota Zan Daryae Khamoshi Mein Hai Mouj-e-Hawa
Haan, Magar Ek Door Se Ati Hai Awaz E Dra

Dil Ke Hai Betabi-e-Ulfat Mein Duniya Se Nafoor
Khanch Laya Hai Mujhe Hangama E Aalam Se Door

Manzar-e-Herman Naseebi Ka Tamashayi Hun Main
Hum Nasheen-e-Khuftagan-e-Kunj Tanhai Hun Main

Tham Zara Betabi-e-Dil! Baith Jane De Mujhe
Aur Iss Basti Pe Char Aansu Girane De Mujhe

Ae Mye Ghaflat Ke Sermasto! Kahan Rehte Ho Tum?
Kuch Kaho Uss Dais Ki Aakhir, Jahan Rehte Ho Tum

Woh Bhi Hairat Khana-e-Amroz O Farda Hai Koi?
Aur Pikar-e-Anasir Ka Tamasha Hai Koi

Admi Wan Bhi Hisar-e-Gham Mein Hai Mehsoor Kya?
Uss Walayat Mein Bhi Hai Insan Ka Dil Majboor Kya?

Wan Bhi Jal Merta Hai Soz-e-Shama Per Parwana Kya?
Uss Chaman Mein Bhi Gull-o-Bulbul Ka Hai Afsana Kya?

Yan To Ek Misre Mein Pehlu Se Nikal Jata Hai Dil
Shair Ki Germi Se Kya Wan Bi Phigalta Jata Hai Dil?

Rishta-o-Pewandiyan Ke Jaan Ka Azaar Hain
Uss Gulistan Mein Bhi Kya Aese Nukile Khar Hain?

Iss Jahan Mein Ek Maeeshat Aur So Uftad Hai
Rooh Kya Uss Daes Mein Iss Fikar Se Azad Hai?

Kya Wahan Bijli Bhi Hai, Dehqan Bhi Hai, Kherman Bhi Hai?
Kafle Wale Bhi Hain, Andaisha Rehzan Bhi Hai?

Tinke Chunte Hain Wahan Bhi Aashiyan Ke Wastay?
Khishat-e-Gill Ki Fikar Hoti Hai Makan Ke Wastay?

Wan Bhi Insan Apni Asliyat Se Begane Hain Kya ?
Imtiaz-e-Millat-o-Aaeen Ke Diwane Hain Kya?.

Wan Bhi Kya Faryad-e-Bulbul Per Chaman Rota Nahin?
Iss Jahan Ki Tarah Wan Bhi Dard-e-Dil Hota Nahin?

Bagh Hai Fardous Ya Ek Manzal-e-Aramhai?
Ya Rukh E Be Perwa Husn-e-Azal Ka Naam Hai?

Kya Jahanum Maseeyat Sozi Ki Ek Tarkeeb Hai?
Aag Ke Sholon Mein Pinhan Maqsad-e-Tadeeb Hai?

Kya Ewz Raftar Ke Uss Dais Mein Parwaz Hai?
Mout Kehte Hain Jise Ahle Zameen, Kya Raaz Hai?

Iztarab-e-Dil Ka Saman Yan Ki Hast-o-Bood Hai
Ilm E Insan Uss Walayat Mein Bhi Kya Mehdood Hai?

Deed Se Taskeen Pata Hai Dil-e-Mahjoor Bhi?
'Lan Tarani' Keh Rahe Hain Ya Wahan Ke Toor Bhi?

Justujoo Mein Hai Wahan Bhi Rooh Ko Aaram Kya?
Wan Bhi Insan Hai Qateel-e-Zauq-e-Istafham Kya?

Aah! Vo Kishwar Bhi Tareeki Se Kya Mamoor Hai?
Ya Mohabbat Ki Tajalli Se Sarapa Noor Hai?

Tum Bata Do, Raaz Jo Iss Gunbad-e-Gardan Mein Hai
Mout Ek Chubhta Huwa Kanta Dil-e-Insan Mein Hai

No comments:

Post a Comment