Ye Gunbad-e-Meenai,
Ye Alam-e-Tanhai
Mujh Ko To Darati Hai
Iss Dasht Ki Pehnayi
Bhatka Huwa Raahi
Main, Bhatka Huwa Raahi Tu
Manzil Hai Kahan Teri
Ae Lala-e-Sehrayi!
Khali Hai Kaleemon Se
Ye Koh-o-Qamar Warna
Tu Shoala-e-Seenayi,
Mein Shoala-e-Seenayi!
Tu Shakh Se Kyun
Phoota, Main Shakh Se Kyun Toota
Ek Jazba-e-Paidayi,
Ek Lazzat-e-Yaktayi!
Ghawwas-e-Mohabbat Ka
Allah Nigheban Ho
Har Qatra-e-Darya
Mein Darya Ki Hai Gehrayi
Uss Mouj Ke Matam
Mein Roti Hai Bhanwar Ki Ankh
Darya Se Uthi Lekin
Sahil Se Na Takrayi
Hai Garmi-e-Adam Se
Hungama-e-Alam Garam
Sooraj Bhi Tamashayi,
Tare Bhi Tamashayi
Ae Bad-e-Biyani! Mujh
Ko Bhi Anayat Ho
Khamoshi-o-Dil Souzi,
Sar Masti-o-Raanayi!
No comments:
Post a Comment