Friday 8 August 2014

Lenin (Khuda Ke Hazoor Mein)

Ae Anfus-o-Afaq Mein Paida Tere Ayaat
Haq Ye Hai Ke Hai Zinda-o-Paenda Teri Zaat

Main Kaise Samajhta Ke Tu Hai Ya Ke Nahin Hai
Har Dam Mutaghyyar The Khird Ke Nazariyat

Mehram Nahin Fitrat Ke Sarood-e-Azali Se
Beenaye Kawakib Ho Ke Dana’ay Nabataat

Aj Ankh Ne Dekha To Woh Alam Huwa Sabit
Main Jis Ko Samajhta Tha Kalisa Ke Khurafat

Hum Band-e-Shab-o-Roz Mein Jakre Huwe Bande
Tu Khaliq-e-Aasaar-o-Nigarindah’ay Aanat !

Ek Baat Agar Mujh Ko Ijazat Ho To Puchun
Hal Kar Na Sake Jis Ko Hakeemon Ke Maqalat

Jab Tak Mein Jiya Khaima-e-Aflak Ke Neeche
Kante Ki Tarah Dil Mein Khatakti Rahi Ye Baat

Guftar Ke Asloob Pe Qaboo Nahin Rehta
Jab Rooh Ke Andar Mutaltum Hon Khayalat

Woh Kon Sa Adam Hai Ke Tu Jis Ka Maabood
Woh Adam-e-Khaki Ke Jo Hai Zair-e-Samawat?

Mashriq Ke Khudawand Saifedan-e-Farangi
Maghrib Ke Khudawand Darakhshandah Filzaat

Yourap Mein Bohat Roshani-e-Ilm-o-Hunar Hai
Haq Ye Hai Ke Be-Chashma’ay Haiwan Hai Ye Zulmat

Raanayi-e-Tameer Mein, Ronaq Mein, Safa Mein
Girjon Se Kahin Barh Ke Hain Bankon Ki Amarat

Zahir Mein Tajarat Hai, Haqiqat Mein Juwa Hai
Sood Aik Ka Lakhon Ke Liye Marg-e-Mafajat

Ye Ilm, Ye Hikmat, Ye Tadabur, Ye Hukumat
Peete Hain Lahoo, Dete Hain Taleem-e-Masawat

Bekari-o-Uryani-o-Maikhawari-o-Iflaas
Kya Kaam Hain Farangi Madniyat Ke Fatuhaat

Woh Qoum Ke Faizan-e-Samawi Se Ho Mehroom
Had Uss Ke Kamalaat Ki Hai Barq-o-Bukharaat

Hai Dil Ke Liye Mout Machinon Ki Hukumat
Ehsas-e-Marawwat Ko Kuchal Dete Hain Aalaat

Asaar To Kuch Kuch Nazar Ate Hain Ke Akhir
Tadbeer Ko Taqdeer Ke Shatar Ne Kiya Maat

Maikhane Ki Bunyad Mein Aya Hai Tazalzul
Baithe Hain Issi Fikar Mein Peeran-e-Kharabat

Chehron Pe Jo Surkhi Nazar Ati Hai Sar-e-Shaam
Ya Ghazah Hai Ya Saghir-o-Meena Ki Karamat

Tu Qadir-o-Adil Hai Magar Tere Jahan Mein
Hain Talakh Bohat Banda’ay Mazdoor Ke Auqat

Kab Doobe Ga Sarmaya Prasti Ka Safina?
Dunya Hai Teri Muntazir-e-Roz-e-Makafat !

No comments:

Post a Comment