Mein Soyi Jo Ek Shab
To Dekha Ye Khawab
Barha Aur Jis Se Mera
Iztarab
Ye Dekha Ke Mein Ja
Rahi Hun Kahin
Andhera Hai Aur Rah
Milti Nahin
Larazta Tha Der Se
Mera Baal Baal
Qadam Ka Tha Dehshat
Se Uthna Mahal
Jo Kuch Hosla Pa Ke
Aagay Berhi
To Dekha Qitar Aik
Larkon Ki Thi
Zumurad Si Poshak
Pehne Huay
Diye Sub Ke Hathon
Mein Jalte Huay
Woh Chup Chap Thay
Agay Peche Rawan
Khuda Jane Jana Tha
Un Ko Kahan
Iss Soch Mein Thi Ke
Mera Pisar
Mujhe Uss Jamat Mein
Aya Nazar
Woh Peche Tha Aur
Taez Chalta Na Tha
Diya Uss Ke Hathon
Mein Jalta Na Tha
Kaha Mein Ne Pehchan
Ker, Meri Jaan!
Mujhe Chor Ker Aa Gye
Tum Kahan?
Judai Mein Rehti Hun
Main Be-Qarar
Paroti Hun Her Rouz
Ashkon Ke Haar
Na Perwa Humari Zara
Tum Ne Ki
Gye Chor, Achi Wafa
Tum Ne Ki!
Jo Bache Ne Dekha
Mera Peach O Taab
Diya Uss Ne Munh
Phair Ker Yun Jawab
Rulati Hai Tujh Ko
Juddai Meri
Nahin Uss Mein Kuch
Bhi Bhalai Meri
Ye Keh Ker Vo Kuch
Dair Tak Chup Raha
Diya Phir Dikha Ker
Ye Kehne Laga
Samajhti Hai Tu Ho
Gaya Kya Issay?
Tere Aanasuon Ne
Bhujaya Issay!
No comments:
Post a Comment