Friday 8 August 2014

Mah-e-Nau

Toot Kar Khursheed Ki Kashti Huwi Gharqab-e-Neel
Aik Tukra Tairta Phirta Hai Rooye Aab-e-Neel

Tasht-e-Gardoon Mein Tapakta Hai Shafaq Ka Khoon-e-Naab
Nashtar-e-Qudrat Ne Kya Kholi Hai Fasd-e-Aftab

Charakh Ne Bali Chura Li Hai Uroos-e-Shaam Ki
Neel Ke Pani Mein Ya Machli Hai Seem-e-Khaam Ki

Qafla Tera Rawan Be-Minnat-e-Bang-e-Dra
Gosh-e-Insaan Sun Nahin Sakta Teri Awaz-e-Pa

Ghatne Barhne Ka Saman Ankhon Ko Dikhlata Hai Tu
Hai Watan Tera Kidhar, Kis Dais Ko Jata Hai Tu

Sath Ae Sayyara-e-Sabit Numa Le Chal Mujhe
Khar-e-Hasrat Ki Khalish Rakhti Hai Ab Be Kal Mujhe

Noor Ka Talib Hun, Ghabrata Hun Iss Basti Mein Main
Tiflak-e-Seemab Pa Hun Maktab-e-Hasti Mein Main

No comments:

Post a Comment