Na Takht-o-Taaj Mein
Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai
Jo Baat
Mard-e-Qalandar Ki Bargah Mein Hai
Sanam Kadah Hai Jahan
Aur Mard-e-Haq Hai Khalil
Ye Nukta Woh Hai Ke
Poshida LA ILAHA Mein Hai
Woh Jahan Hai Tera
Jis Ko Tu Kare Paida
Ye Sang-o-Khisht
Nahin, Jo Teri Nigah Mein Hai
Mah-o-Sitara Se Agay
Maqam Hai Jis Ka
Woh Musht-e-Khak
Abhi Awargan-e-Rah Mein Hai
Khabar Mili Hai
Khudayan-e-Behar-o-Bar Se Mujhe
Farang
Reh-Guzar-e-Seel-e-Be Panah Mein Hai
Talash Uss Ki Fazaon
Mein Kar Naseeb Apna
Jahan-e-Taza Meri
Aah-e-Subahgah Mein Hai
Mere Kidu Ko Ghanimat
Samajh Ke Bada-e-Naab
Na Madrase Mein Hai,
Baqi Na Khanqah Mein Hai
No comments:
Post a Comment