Na Tu Zameen Ke Liye
Hai Na Asman Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye,
Tu Nahin Jahan Ke Liye
Ye Aqal-o-Dil Hain
Sharar Shola-e-Mohabbat Ke
Woh Khaar-o-Khs Ke
Liye Hai, Ye Neetan Ke Liye
Maqam-e-Parwarish-e-Aah-o-Nala
Hai Ye Chaman
Na Sair-e-Gul Ke Liye
Hai Na Ashiyan Ke Liye
Rahe Ga
Ravi-o-Neel-o-Firat Mein Kab Tak
Tera Safina Ke Hai
Behar-e-Bekaran Ke Liye!
Nishan-e-Rah Dikhate
The Jo Sitaron Ko
Taras Gye Hain Kisi
Mard-e-Rah Daan Ke Liye
Nigah Buland, Sukhan
Dil Nawaz, Jaan Pursouz
Yehi Hai
Rakht-e-Safar Mir-e-Karwan Ke Liye
Zara Si Baat Thi,
Andaisha-e-Ajam Ne Isse
Barha Diya Hai Faqat
Zaib-e-Dastan Ke Liye
Mere Gulu Mein Hai Ek
Naghma Jibreel Ashob
Sanbhal Kar Jise
Rakha Hai La-Makan Ke Liye
No comments:
Post a Comment