Friday 8 August 2014

Nala-e-Faraaq

Ja Basa Maghrib Mein Akhir Ae Makan Tera Makeen
Ah! Mashriq Ki Pasand Ayi Na Iss Ko Sarzameen

Aa Gya Aaj Iss Sadaqat Ka Mere Dil Ko Yaqeen
Zulmat-e-Shab Se Zaya-e-Rouz-e-Furqat Kam Nahin

“Taaz Aghosh-e-Wadaash Dagh-e-Hairat Cheeda Ast
Humcho Shama-e-Kusta Dar Chasmam Nigah Khawabida Ast”

Kushta-e-Uzlat Hun, Abadi Mein Ghabrata Hun Main
Shehar Se Souda Ki Shiddat Mein Nikal Jata Hun Main

Yaad-e-Ayyam-e-Salaf Se Dil Ko Tarapta Hun Main
Behr-e-Taskeen Teri Janib Dorta Ata Hun Main

Ankh Go Manoos Hai Tere Dar-o-Diwar Se
Ajnabiat Hai Magar Paida Meri Raftar Se

Zarra Mere Dil Ka Khursheed Ashna Hone Ko Tha
Aaeena Toota Huwa Alamnuma Hone Ko Tha

Nakhal Meri Arzuon Ka Hara Hone Ko Tha
Ah! Kya Jane Koi Main Kya Se Kya Hone Ko Tha

Abar-e-Rehmat Daman Az Gulzar-e-Mann Barcheeda-o-Raft
And Ke Bar Ghuncha Haye Arzu Bareed-o-Raft

Tu Kahan Hai Ae Kaleem-e-Zarwa-e-Seenaye Ilm
Thi Teri Mouj-e-Nafas Baad-e-Nishat Afzaye Ilm

Ab Kahan Woh Shauq-e-Reh Pemayi-e-Sehraye Ilm
Tere Dam Se Tha Humare Sar Mein Bhi Soudaye Ilm

“Shour-e-Laila Ko Ke Baaz Araeesh-e-Souda Kunand
Khak-e-Majnu Rah Ghubar-e-Khatir-e-Sehra Kunand”

Khol De Ga Dast-e-Wehshat Uqda-e-Taqdeer Ko
Tor Kar Pohenchun Ga Main Punjab Ki Zanjeer Ko

Dekhta Hai Dida-e-Heeran Teri Tasveer Ko
Kya Tasalli Ho Magar Garvidah-e-Taqreer Ko

“Taab-e-Goyai Nahin Rakhta Dehan Tasveer Ka
Khamoshi Kehte Hai Jis Ko, Hai Sukhan Tasveer Ka”

No comments:

Post a Comment