Ata Hai Yaad Mujh Ko
Guzra Huwa Zamana
Woh Bagh Ki Baharain,
Woh Sub Ka Chehchana
Azadiyan Kahan Woh Ab
Apne Ghonsle Ki
Apni Khushi Se Ana,
Apni Khushi Se Jana
Lagti Hai Chot Dil
Per, Ata Hai Yad Jis Dam
Shabnaam Ke Ansuon
Per Kaliyon Ka Muskarana
Vo Payari Payari
Soorat, Vo Kamni Si Moorat
Abad Jis Ke Dam Se
Tha Mera Ashiyana
Ati Nahin Sadaen Uss
Ki Mere Qafas Mein
Hoti Meri Rehai Ae
Kash Mere Bus Mein!
Kya Badnaseeb Hun
Mein Ghar Ko Taras Raha Hun
Sathi To Hain Watan
Mein, Main Qaid Mein Para Hun
Ayi Bahar, Kaliyan
Phoolon Ki Hans Rahi Hain
Mein Iss Andhere Ghar
Mein Kismat Ko Ro Raha Hun
Iss Qaid Ka Elahi!
Dukhra Kise Sunaun
Der Hai Yahin Qafas
Mein Main Gham Se Mer Na Jaun
Jab Se Chaman Chuta
Hai, Ye Haal Ho Gya Hai
Dil Gham Ko Kha Raha
Hai, Gham Dil Ko Kha Raha Hai
Gana Issay Samajh Ker
Khush Hon Na Sunne Wale
Dukhe Huwe Dilon Ki
Faryad Ye Sada Hai
Azad Mujh Ko Ker De,
O Qaid Kerne Wale!
Main Bezuban Hun
Qaidi, Tu Chor Ker Dua Le
No comments:
Post a Comment