Preshan Ho Ke Meri
Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye
Jo Mushkil Ab Hai Ya
Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye
Na Kar Dain Mujh Ko
Majboor-e-Nawa Firdous Mein Hoorain
Mera Souz-e-Daroon
Phir Garmi-e-Mehfil Na Ban Jaye
Kabhi Chhori Huwi
Manzil Bhi Yaad Ati Hai Raahi Ko
Khatak Si Hai, Jo
Sinay Mein, Gham-e-Manzil Na Ban Jaye
Banaya Ishq Ne
Darya’ay Na-Payda Karan Mujh Ko
Ye Meri Khud
Nigahdari Mera Sahil Na Ban Jaye
Kahin Iss
Alam-e-Be-Rang-o-Bu Mein Bhi Talab Meri
Wohi
Afsana-e-Dunbala-e-Mehmil Na Ban Jaye
Urooj-e-Adam-e-Khaki
Se Anjum Sehme Jate Hain
Ke Ye Toota Hua Tara
Mah-e-Kamil Na Ban Jaye
No comments:
Post a Comment