Hazir Huwa Main
Sheikh-e-Mujadid (R.A.) Ki Lehad Par
Woh Khak Ke Hai
Zair-e-Falak Matla-e-Anwar
Iss Khak Ke Zarron Se
Hain Sharminda Sitare
Iss Khak Main Poshida
Hai Woh Sahib-e-Asrar
Gardan Na Jhuki Jis
Ki Jhangeer Ke Agay
Jis Ke Nafs-e-Garam
Se Hai Garmi-e-Arhar
Woh Hind Mein
Sarmaya-e-Millat Ka Negheban
Allah Ne Barwaqt Kiya
Jis Ko Khabardar
Ki Arz Ye Main Ne Ke
Atta Faqr Ho Mujh Ko
Ankhain Meri Beena
Hain, Walekin Nahi Baidar!
Ayi Ye Sada
Silsila-e-Faqr Huwa Band
Hain Ahl-e-Nazar
Kishwar-e-Punjab Se Bezar
Arif Ka Thikana Nahin
Woh Khitta Ke Jis Mein
Paida Kulah-e-Faqr Se
Ho Turra-e-Dastar
Baqi Kula-e-Faqr Se
Tha Walwala-e-Haq
Turron Ne Charhaya Nasha-e-‘Khidmat-e-Sarkar’!
No comments:
Post a Comment