Raha Na Halqa-e-Sufi
Mein Souz-e-Mushtaqi
Fasana Haye Karamaat
Reh Gye Baqi
Kharab Ko
Shak-e-Sultan-O-Khanqah-e-Faqeer
Faghan Ke
Takht-O-Musalla Kamal-e-Zarraqi
Kare Gi
Dawar-e-Mehshar Ko Sharamsaar Ek Roz
Kitab-e-Sufi-O-Mullah
Ki Sada Auraqi
Na Cheeni-O-Arabi
Woh, Na Rumi-O-Shami
Sama Saka Na Do Alam
Mein Mard-e-Afaqi
Mai-e-Shabana Ki
Masti To Ho Chuki, Lekin
Khatak Raha Hai Dilon
Mein Karishma-e-Saqi
Chaman Mein Talakh
Nawayi Meri Gawara Kar
Ke Zehar Bhi Kabhi
Karta Hai Kar-e-Taryaqi
Aziz Tat Hai
Mataa-e-Ameer-O-Sultan Se
Woh Shair Jis Mein Ho
Bijli Ka Souz-O-Barraqi
No comments:
Post a Comment