Khol Ankh, Zameen
Dekh, Falak Dekh, Faza Dekh
Mashriq Se Ubharte
Huwe Suraj Ko Zara Dekh
Iss Jalwa-e-Beparda
Ko Pardon Mein Chupa Dekh
Ayyam-e-Judai Ke
Sitam Dekh, Jafa Dekh
Betab Na Ho
Maarika-e-Beem-o-Rija Dekh!
Hain Tere Tassaruf
Mein Ye Badal, Ye Ghataen
Ye Gunbad-e-Aflak, Ye
Khamosh Fazaen
Ye Koh Ye Sehra, Ye
Sumandar Ye Hawaen
Theen Paish-e-Nazar
Kal To Farishton Ki Adaen
Aaeena-e-Ayyam Mein
Aaj Apni Ada Dekh!
Samjhe Ga Zamana Teri
Ankhon Ke Ishare
Dekhain Ge Tujhe Door
Se Gardoon Ke Sitare
Na-Paid Tere
Behar-e-Takhiyyul Ke Kinare
Pohanche Ge Falak Tak
Teri Aahon Ke Shirare
Tameer-e-Khudi Kar,
Asar-e-Aah-e-Rasa Dekh!
Khurshid-e-Jahan Taab
Ki Zou Tere Sharar Mein
Abad Hai Ek Taza
Jahan Tere Hunar Mein
Jachte Nahin Bakhshe
Huwe Firdous Nazar Mein
Jannat Teri Pinhan
Hai Tere Khoon-e-Jigar Mein
Ae Paikar-e-Gil
Koshish-e-Peham Ki Jaza Dekh!
Nalinda Tere Uood Ka
Har Taar Azal Se
Tu Jinse-e-Mohabbat
Ka Khireedar Azal Se
Tu Peer-e-Sanam
Khana-e-Asrar Azal Se
Mehnat Kash-o-Khoon
Raiz-o-Kam Azaar Azal Se
Hai
Rakab-e-Taqdeer-e-Jahan Teri Raza, Dekh!
No comments:
Post a Comment