Woh Harf-e-Raaz Ke
Mujh Ko Sikha Gya Hai Junoon
Khuda Mujhe
Nafs-e-Jibraeel De To Kahoon
Sitara Kya Meri
Taqdeer Ki Khabar De Ga
Woh Khud
Farakhi-e-Aflaak Mein Hai Khwaar-o-Zaboon
Hayat Kya Hai,
Khiyal-o-Nazar Ki Majzoobi
Khudi Ki Mout Hai
Andesha Ha’ay Goonagoon
Ajab Maza Hai, Mujhe
Lazzat-e-Khudi De Kar
Woh Chahte Hain Ke
Main Apne Aap Mein Na Rahoon
Zameer-e-Paak-o-Nigah-e-Buland-o-Masti-e-Shauq
Na
Maal-o-Doulat-e-Qaroon, Na Fikar-e-Aflatoon
Sabaq Mila Hai Ye
Miraaj-E-Mustafa (S.A.W.) Se Mujhe
Ke Alam-e-Bashriyat
Ki Zad Mein Hai Gardoon
Ye Kainat Abhi
Na-Tamam Hai Shaid
Ke Aa Rahi Hai
Damadam Sada’ay ‘Kun Fayakoon’
Elaj Atish-E-Rumi Ke
Soz Mein Hai Tera
Teri Khirad Pe Hai
Ghalib Farangion Ka Fasoon
Ussi Ke Faiz Se Meri
Nigah Hai Roshan
Ussi Ke Faiz Se Mere
Saboo Mein Hai Jehoon
No comments:
Post a Comment