Saturday, 20 September 2014

Abhi ik Aas baqi hai

Abhi ik Aas baqi hai 
bohat din say
mujhay kuch unkahay alfaz nay bechain kar rakha hai
mujhay sonay nahi daitay


mujhay hunsnay nahi daitay
mujhay ronay nahi daitay
yuu lagta hai kay jasay sans senay mai kahi tehri hui hai
yuu lagta hai


jasay taiz garmi mai
zara si dair ko barish baras kar ruk gaye ho
ghutan charoo’n tarf pehli hui hai
bohat dinoo’n say


meri ankho mai sapnoo’n ki
koi doli nai utari
bohat din say
khyaloo’n mai dabay paoo’n


koi apna nahi aya
boaht din say
woh sub jazbay
jo meri shairi kay mousamoo’n mai rung bhartay thay
kahi soye huway hain


meray alfaaz bhi khoye huway hain
mai un ko dhondnay
is zindagi kay dasht mai niklta ho lakin
mujhay maloon hai jazbay


ek bar khojaye
to phir wapis nahi miltay
mujhay maloon hai phir bhi
abhi ek a’ass baqi hai


mai ab us a’ass ki ungli pakar kar 
chal raha ho
bazahir shabnami thandak mujhay gheray huway hai
magar mai chal raha ho 
abhi tak chal raha ho

No comments:

Post a Comment