abhi kahan hai wo saa’at
ke hum dareeda badan
siyah libaas ke purzay
sapurd-e-khaak karain
jigar ke daagh ujalain lahu ke cheenton se
qaba-e-zabt judai ko
khud se chaak karain
abhi kahan hai wo lamha
ke jis ko ahl-e-nazar
tuloo-e-mausam-e-gulrang ki naveed kahain!
abhi kahan hai wo saa’at
ke jis ko “eid” kahain !!
ke hum dareeda badan
siyah libaas ke purzay
sapurd-e-khaak karain
jigar ke daagh ujalain lahu ke cheenton se
qaba-e-zabt judai ko
khud se chaak karain
abhi kahan hai wo lamha
ke jis ko ahl-e-nazar
tuloo-e-mausam-e-gulrang ki naveed kahain!
abhi kahan hai wo saa’at
ke jis ko “eid” kahain !!
No comments:
Post a Comment